ab ke jab tum nahin ho meri zindagi main…
ab ke jab main nahin hoon tumhare khawabon mein…
tu meri rooh ne tumhare khayal ke shikanjon se…
azad ho kar sans laina seekh liya hai…
haan seekh liya hai…
woh jo khumar tha tumhari chahat ka
woh jo hisar tha meri wafaon ka…
na jaane kab ka toot chuka hai…
haan toot chuka hai…
woh jo wadey marey aitabar se…
tum ne kiye thae saath nibhane ke…
woh aitabar un ki rah takte…
aas ki dehleese pe sar rakhey
abhi abhi dum tor chuka hai…
haan dam tor chuka hai…
ab ke jab khizaun ne bahain phailai hain…
ab ke jab khilwatoon ne mehfelain sajai hain….
tu aye meri ham nafas….
main ne tumhari yaad ke sare chiragh…
gul kar diye hain…
haan gul kar diye hain…
kyun ke ab tum nahin ho meri zindagi main…
kyun ke ab main nahin hoon tumhare khawabon mein… ![]()
nice1:k:
:k: