Ab kya gila karen ke Muqaddar me kuch na tha,
Hum ghota zan hue to Samandar mein kuch na tha.
Deewana kar gayi teri tasweer ki kashish,
Chooma jo paas ja k to paikar mein kuch na tha.
Yaaro wo baank_pan se tarasha hua badan,
Fan_kaar ka khayal tha, pathar mein kuch na tha.
Dekha to sb hi laal_o_jawaahir lagay mujhe,
Parkha jo Doston ko to aksar mein kuch na tha.
Zalim hamen to jurrat-e-parwaz le urri,
Wrna hamare zakhm_zada par mein kuch na tha.