~~~Ab kay uss ki Aankhoun mein~~~

Ab kay uss ki Aankhoun mein
Bay-sabbab…Udasi thi
Ab kay uss kay chehray per
Dukh tha… bay-Hawasi thi
Ab kay yuun …milla mujh say
yuun ghazal sunni…jaisay
main bhi na-shanaa…sa huun
wuh bhi …ajnabi jaisay
zard khal -o- khad uss kay
sogwar…daaman tha
Ab kay uss kay lehjay mein.
kitna khurdra pan tha
wuh kay umr bhar jis nay
shehr bhar kay logoun mein
mujh ko ham sukhan jana
dil say aashna likha
khud say mehrbaan samjha
mujh ko dilruba likha
surkh roshnaei say
uss nay tlakh lehjay mein
meray naam say pehlay
sirf BEWAFA likha.

Re: ~Ab kay uss ki Aankhoun mein~

:lajawab:
zabardast
:k:

Re: ~Ab kay uss ki Aankhoun mein~

Nice :k:

Re: ~Ab kay uss ki Aankhoun mein~

Nice. :k:

Re: ~~~Ab kay uss ki Aankhoun mein~~~

kalam ko pasand karnay aap sab ka shukria....

Re: ~Ab kay uss ki Aankhoun mein~

:k:

Re: ~~~Ab kay uss ki Aankhoun mein~~~

v touchy..