Wonderful poetry of AIA … Thanks for sharing Shab … :k:
Heres the complete version … (hope you dont mind) … 
Ab ke safar kuch aur thaa, aur hi kuch saraab thay
Dasht-e-talab mein ja-ba-ja, sang-e-giraan-e-khwaab thay
Hashar ke din ka ghul-ghula shehar ke baam-o-dar mein thaa
Niglay huwe sawaal thay, uglay huwe jawaab thay
Ab ke baras bahaar ki rutt bhi thee intezaar ki
Lehjoon mein sail-e-dard thaa, aankhoon mein ezteraab thay
Khwaboon ke chaand dhal gaye, taaroon ke dam nikal gaye
Phooloon ke haath jal gaye, kaise yeh aaftaab thay
Saahil ke rehguzar huwe, hont na phir bhi taar huwe
Kaisi ajeeb pyaas thee, kaise ajeeb sahaab thay
Umer issi tazaad mein, rizq-e-ghubaar hogaee
Jism thaa aur azaab thay, aankhain theen aur khwaab thay
Subha huwi tau shehar ke shor mein yun bikhar gaye
Jaise woh aadmi na thay, naqsh-o-nigaar-e-aab thay
Aankhoon mein khoon bhar gaye rastoon mein hi bikhar gaye
Aanay se qabal mar gaye, aise bhi inquilaab thay
Saath woh ek raat ka, chashm-e-zadaan ki baat thaa
Phir na woh iltefaat tha, phir na woh ijtenaab thay
Rabt ki baat aur hai, zabt ki baat aur hai
Yeh jo fishaar-e-khaak hai, is mein kabhi gulaab thay
Abar baras ke khul gaye, ji ke ghubaar dhal gaye
Aankh mein roonuma huwe, shehar jo zair-e-aab thay
Dard ki rehguzar mein, chalte tau kis khumaar mein
Chashm ke be-nigaah thee, hont ke be-khitaab thay …*