--- Ab kay saawan maiN naa barsay gaa paani shaayad ---

Ab kay saawan maiN naa barsay gaa paani shaayad
Aab-e-nainaaN maiN magar hogee rawaani shaayad

ChoR kay dharti piyaasi guzar gaye baadal
Nigah maiN aaii thee meri bay samaani shaayad

NaheeN khiyaal kay ab baad-e-saba taiz challay!!
Sunni hai uss nay bhee meri woh kahaani shaayad

Bilaa jawaaz hum ulajhtay rahay kaaNTouN say
Banaa day koie wajah shaam suhaani shaayad

Baghair sochay teray raastouN pay chall niklii
ToR kay eh’d woh, thee qasam nibhaani shaayad

Koie suntaa naheeN Hum kiss ko sunaaieN Aakhir
Aarzoo baat yeh hai apni puraani shaayad

Dr. Raye Arzoo Shahzad

very nice :k: :k: :k:

Nice :k:

Nice :k:

Ab kay saawan maiN naa barsay gaa paani shaayad
Aab-e-nainaaN maiN magar hogee rawaani shaayad

:blush: nice one AQ :k:

:)

nice :flower1:

nice

Kaheen pa nigahaiN kaheeN pa nishana…
Nice one AQ ko kaha aur quote WG ko kia :wink:

Zabardast…:flower1:

great!