Ab Kahan Dost Milein Saath Nibhaane Vaale,
Sab Ne Seekhe Hain Ab Aadaab Zamaane Vaale … !
Dil Jalao Ya Diye Aankhon Ke Darvaaze Par,
Waqt Se Pehle To Aate Nahi Aane Vaale … !!
…
Ashq Bann Ke Main Nigaahon Mein Teri Aaoonga,
Ai Mujhe Apni Nigaahon Se Giraane Vaale … !!!
Waqt Badla To Uthaate Hain Ab Ungli Mujh Par,
Kal Talaq Haq Mein Mere Haath Utthaane Vaale … !!!
Waqt Har Zakham Ka Marham To Nahi Ban Sakta,
Dard Kuchh Hote Hain Ta-umar Rulaane Vaale … !!!