~Ab k yooN dil ko sazaa di hum ney~~

Ab k yooN dil ko sazaa di hum ney
Uss ki har baat bhula di hum ney

Aik aik phool bohat yaad aaya
Shaakh-e-gul jab woh jala di hum ney

Aaj tak jis pe woh sharmaatey haiN
Baat woh kab ki bhula di hum ney

Shehar-e-jahaN raakh sey abaad howa
Aag jub dil ku bhuja di hum ney

Aaj phir yaad bohat aaya woh
Aaj phir uss ko dua di hum ney

Koi tou baat hai uss maiN ~Faiz~
Har khushie jiss pe luTa di hum ney..
*

nice one Vivo :)

*Aaj phir yaad bohat aaya woh
Aaj phir uss ko dua di hum ney

Koi tou baat hai uss maiN ~Faiz~
Har khushie jiss pe luTa di hum ney.. *

bahot khoob

Bahut khoob … :k:

:k:

^ Thanku Daagh, AB & capri.. :)

Wah!

us ke har baat bhoola dee hum nay

wah kiya baat hai bohat mushkkil kaam kar diya aap nay...

bhuit khoob:k:

bahut khoob Vivo!

:-)

buhet khoob :k:

faiz is my fav :k:

Thanx GKK, Amber, Dilsay, Lamhay, cuteepie.. :)

TanhayaaN :-]