Ab kay Saal kuch aisa karna
Apnay Guzray Bara Maah Kay
Dukh Sukh ka andaza karna
Bisri Yaden taaza karna
Sada sa ek kaghaz lay kar
Bhoolay Bisray Pal likh layna
Apnay saray Kal likh layna
Phir is beetay ek ek pal ka
Apnay guzray ek ek kal ka
Ek ek MoR ehata karna
Saray dost ikhattay karna
Sari Subhein hazir karna
Sari shamein paas bulana
Aur ilawa un kay daykho
Saray Mausam dhiyaan may rakhna
Ek Ek yaad gumaan may rakhna
Phir mauhtat qayaas lagana
Gar to khushyian barh jati hain
To phir tum ko meri taraf say
“Anay wala saal Mubarak”
Aur Gar gham barh jain to
Mat baykar takalluf karna
Daykho phir tum aisa karna
Meri khushiyan tum lay layna
Mujh ko apnay gham day dayna
Ab kay saal kuch aisa karna…
boht achei:):k:
ab ke saal kuch ese karna. :-)
its simple and gorgious Xcommie. :-)
wonderful !
Beautiful :k:
Re: Ab k Saal Kuch Aisa Karna…
zabardust Commi :k:
1 of my fav nazm na ![]()
Great.....
WaH:flower1:..
thnx for sharing:k:…
Thanks guys. :)
wah bahut khoob !
niceeeeeeeeee:k:
Wah :k: