phir say aik saal guzar gaya hai aur na janay hum say ki kuch legaya jatay jatay. yeh saal to shayad sub kuch he lagaya
MAGAR
phir say aik naya saal aya hai nayi ummedon k sath, jo kuch hum kho chukay uss ka azaalaa to mumkin nahi but shayad yeh saal dard me kuch kami kar jayay
naik tamannaon aur duaaon k sath ap sub ko naya saal mubarak
ab k saal kuch aisa karna
apnay pichlay 12 maah k
dukh sukh ka andaza karna
bichri yadain tazaa karna
sada sa ek kaghaz lay kar
apnay saray kal likh laina
guzray saray pal likh laina
phir uss guzray ek ek pal
apnay guzray ek ek kal ka
ek ek mor ahaata karna
sari subhain pass bulana
sari shamain hazir rakhna
phir ek mohtaat qayas lagana
gar to khushiyan barh jati hain
to phir tum ko meri taraf say
anay wala saal mubarak
aur agar ghum barh jayen to
mat baykaar takalluf karna
dekho phir tum aisa karna
meri khushyan tum lelaina
mujhko saray ghum dedaina
AB K SAAL KUCH AISA KARNA
AB K SAAL KUCH AISA KARNA
Din Raat bitaa'ey hain baday runj o ulum main
Taa Dair ye din raat humay yaad rahain gaay
Ye saal tu aakhir guzar hee gaya laikin
Es saal k sudmaat humay yaad rahain gaay
Din Raat bitaa'ey hain baday runj o ulum main
Taa Dair ye din raat humay yaad rahain gaay
Ye saal tu aakhir guzar hee gaya laikin
Es saal k sudmaat humay yaad rahain gaay