ab jo zinda hain to kuch saans udhaare lay kar

woh jo aa jaate thay aankhon mein sitaare le kar
jaane kis dais gaye khwab humare lay kar

chhaon mein baiThnay wale hi to sabse pehle
paiR girta hai to aa jaate hain aare lay kar

wo jo aasooda-e-saahil hain inhein kya maaloom
ab ke mauj aai to palTe gi kinaare lay kar

aisa lagta hai ke har mausam-e-hijraan mein bahaar
honT rakh deti hai shaakhon pe tumhaare lay kar

sheher walon ko kahan yaad hai woh khwab farosh
phirta rehta tha jo galiyon mein ghubaare lay kar

naqd-e-jaan sarf hua kulfat-e-hasti mein FARAZ
ab jo zinda hain to kuch saans udhaare lay kar

waah shab....v.v.good ghazal **

Re: ab jo zinda hain to kuch saans udhaare lay kar

wah very nice :k:

Re: ab jo zinda hain to kuch saans udhaare lay kar

Bohat Umda Shab-e-Hijar..:k:

Re: ab jo zinda hain to kuch saans udhaare lay kar

bohat umda :)

Re: ab jo zinda hain to kuch saans udhaare lay kar

chhaon mein baiThnay wale hi to sabse pehle
paiR girta hai to aa jaate hain aare lay kar

dosri line aisay bhee kahi ja sakti " pair giraanay ko aajaatay hain aarey lay kar''