Ab Jo Bichray Hain To Ehsaas Hua Hai Hum Ko

**
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain
Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain

Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
aik saath hum mil ker raha kertey thay

Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko

Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay

Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain
Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain

Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko **

Re: Ab Jo Bichray Hain To Ehsaas Hua Hai Hum Ko

Very Touchy :frowning:

:k:

Re: Ab Jo Bichray Hain To Ehsaas Hua Hai Hum Ko

very nice

Re: Ab Jo Bichray Hain To Ehsaas Hua Hai Hum Ko

Kya hila deney waali nazm hey, bohat shaandaar…:k: pktun shair ka naam pata hey?

Re: Ab Jo Bichray Hain To Ehsaas Hua Hai Hum Ko

Bohat Khoob Pktun…:k:

Re: Ab Jo Bichray Hain To Ehsaas Hua Hai Hum Ko

Thnx all

Wasi Shah poet hain