Duniya ne hum pe jab koi Ilzam rakh diya
Hum ne muqabil us ke tera naam rakh diya
Ik khaas had pe aagayee jab teri be-rukhi
Naam us ka hum ne gardish-a-ayam rakh diya
Mai larkhara raha houn tujh ko daikh daikh ker
Tu ne to mere samne ik jaam rakh diya
Kitna sitam zareef hai wo sahib-e-jamal
Us ne diya jala k sar-a-baam rakh diya
Insaa’n aur daikhe de-gair us ko maan le
Ik khauf ka bashar ne khuda naam rakh diya
Ab jis k jee mai aaye wohi paaye roshni
Hum ne to dil jala k sar-a-aam rakh diya
Kya muslehat shanas thaa wo aadmi ~Qatil~
Majburiyon ka jis ne wafa naam rakh diya