**Khatir se ya lihaz se, main maan tou gya
Jhuti qasam se, aap ka iman tou gya
Dil le k muft kehte hain kuch kam ka nahi
Ulti shikaytein huin ehsan tou gya
Darta hoon dekh kr dil-e-be arzu ko main
Sunsan ghar ye kyon na ho, mehman tou gya
Ifsha-e-raz e ishq mein go zillatein huin
Lekin usey jata tou diya, jaan tou gya
Go nama-barr se khush na hua per hazar shukr
Mujh ko wo mere naam se, pehchan tou gya
Bazm e aduww mein surat e parwana dil mera
Go rashk se jala tere qurban tou gya
Hosh o hawaas o taab o tavaan Dagh! ja chuke
Ab hum bhi jane wale hain, samaan tou gya**