[QUOTE]
*Originally posted by Dania_2000: *
ab dukhoon kay saye maiN, aaNchal bacha kay kia karaiN
zahen bhi apna bigaR gya hay, dil bacha kay kia karaiN
ek shooKh nazar us ki thee, dil luTa kay lay gayee
sookhee hoi aankhoon main ab, aansoo laga kay kia karaiN
maut bhi aatee nahiN, hay khudkushee haraam bhi
dunya maiN apna koi nahiN, dunya bana kay kia karaiN
her saans main usi ki ab, mehek aatee hay mujhay
phool hi jab aslee nahin, khushboo saja kay kia karaiN
[/QUOTE]