**Ab Ay Meray Ehsaas-e-Junoon, Kia Muje Dena
Darya Ussey Baksha Hy To Sehra Muje Dena
Tum Makaan Jab Karo Taqseem To Yaro
Ghirti Howi dewaar Ka Saya Muje Dena
Jab Waqt Ki Murjha-e Howi Shaakh Sambhalo
Uss Shaakh Sy Toota Howa Lamha Muje Dena
Tum Mera Badan Aurh K Phirty Raho…Laykin
Mumkin Ho To Ek Din Mera Chehra Muje Dena
Chuu Ja-ay Hawa Jiss Sy To Khushbo Teri Aa-ay
Ja-ty Howey Eik Zakhm To Aisa Muje Dena
Shab Bhar Ki Musafat Hy Gawahee Ki Talabgaar
Ay Subah-e-Safar, Apna Sitara Muje Dena
Ek Dard ka Mela K Laga hy Dil-o-Jaan Mein
Ek Rooh Ki Awaaz K “Rasta Muje Dena”
Ek Taza Ghazal izn-e-Sukhn Maangh Rahi hy
Tum Apna Mehakta Howa Lehja Muje Dena
Woh Mujse Kahein Barh K Museebat Mein Tha “Mohsin”
Reh Reh K Magar Uska Dilaasa Muje Dena…!!!
**