Akhtar Malik ki yeh umdah kavish ap sab ki nazr…
Najane kaisi hawa chali hai ke shehar sara badal gaya hai
Kisi ki ankhain badal gaeen hain, kisi ka chehra badal gaya hai
Haseen din thay jameel raatain, na khatm hoteen theen apni baatain
Ajeeb chup si thehrar gae hai, woh jab se lehja badal gaya hai
Fizayein benoor horahee hain, hawayein chup chaap ro raheen hain
Bas ek judaaee se apne ghar ka tamaam naqsha badal gaya hai
Ab apni manzil nahee hai koi, ab apna rasta nahee hai koi
Kisi se manzil badal gae hai, kisi se rasta badal gaya hai
Nazar se guzre tu dekh lena, jo yaad aye tu soch lena
Kabhi tu shak sa guzarne lagta hai jaise rishta badal gaya hai
Kabhi tu yun tha har ek saaat malaal rehta thaa doreyoo per
Aur ab yeh aalam hai zindagaani ka lamha lamha badal gaya hai
Kaee dinoo se ussay hum Akhtar ajeeb hulleyay mein dekhte hain
Ke jism saara ussi tarha hai bas aik chehra badal gaya hai
Apni aaraa se zaroor mustafeez farmaeyayga, shukriya.
Azad
2
Ajeeb chup si thehrar gae hai, woh jab se lehja badal gaya hai
Laajawab :k:
Dilsay
5
Re: Ab apni manzil nahe hai koi, ab apna rasta nahe hai koi
[QUOTE]
Originally posted by Bhooli Bisri: *
**Akhtar Malik* ki yeh umdah kavish ap sab ki nazr.....
Najane kaisi hawa chali hai ke shehar sara badal gaya hai
Kisi ki ankhain badal gaeen hain, kisi ka chehra badal gaya hai
Ab apni manzil nahee hai koi, ab apna rasta nahee hai koi
Kisi se manzil badal gae hai, kisi se rasta badal gaya hai
Kabhi tu yun tha har ek saaat malaal rehta thaa doreyoo per
Aur ab yeh aalam hai zindagaani ka lamha lamha badal gaya hai
Kaee dinoo se ussay hum Akhtar ajeeb hulleyay mein dekhte hain
Ke jism saara ussi tarha hai bas aik chehra badal gaya hai
Apni aaraa se zaroor mustafeez farmaeyayga, shukriya.
[/QUOTE]
This is beautiful.... specially the parts mentioned up.... great.... simply great....
Paglee
8
nice on bhooli thanks 4 sharin..:)
Amal
10
Re: Ab apni manzil nahe hai koi, ab apna rasta nahe hai koi
Amazing stuff Bhooli Bisri:k:…jitni bhi taareef ki jaey, kam hey. Thanx for sharing:)