~*~ Ab aisi muhabbat kya karni ~*~

Ab aisi muhabbat kya karni

Jo neend chura le aankhoon se

Jo khwaab dikha kar phooloon ke

Tabeer mein kaantay de jaaye

Jo gham ki kaali raatoon se

Har aas ka jugnoo le jaaye

Jo khwaab sajaati aankhoon ko

Aansoo hi aansoo de jaaye

Jo mushkil kar de jeenay ko

Jo marnay ko asaan kare

Woh dil ko pyar ka saagar ho

Woh yaadoon ko mehmaan kare

Kehnay ko muhabbat hai lekin

Ab aisi muhabbat kya karni …*