Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

**Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain

Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana

Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana…**

Re: Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

aa he jay to yah bahtar naheen hay kah ittnay mutalibaat :emmy:

Re: Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

Le chala jaan meri rooth ke jana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera