Ab aake karegaa na ko_ii Khvaab baseraa

Is vaqt to yuuN lagataa hai ab kuchh bhii nahiiN hai
mahataab na suuraj na andheraa na saveraa
aaNkhon ke dariiche main kisii husn kii jhalakan
aur dil kii panaahoN maiN kisii dard kaa Deraa
mumkin hai ko_ii vaham ho mumkin hai sunaa ho
galiyoN maiN kisii chaap kaa ek aaKhirii pheraa
shaaKhoN maiN KhayaaloN ke ghane peR kii shaayad
ab aake karegaa na ko_ii Khvaab baseraa
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishtaa
teraa ko_ii apanaa na paraayaa ko_ii meraa
maanaa ki ye sun-saan ghaRii saKht baRii hai
lekin mere dil ye to faqat ek ghaRii hai
himmat karo jiine ko abhii umr paRii hai

-Faiz

nice 1:k:

very nice :)

Nice ONe. :k:

bohat khoob :k:

nice :k:

:hug:

bohat achay :k:

Thanks :)

lovely

Re: Ab aake karegaa na ko_ii Khvaab baseraa

Zabardast:k:…thanx for sharing ~Nazish~.