apni takdeer ki chilman hata ke dekhainge
apni kismat ko younhe aazama ke dekhainge
Roshni ke liye shama to sab jalatey hain
aaj hum bazma main ye dil jala ke dekhainge
zindagi khawab hai ya aankh ka dhoka hai koi
hum nigahoon ka ye parda utha ke dekhainge
waqat ke saath to chaltey hain ye socha hai mager
ruk ke hum aaj ko phir kal bana ke dekhainge
maut kia cheez hai kia waqate safar hota hai
sochte hain ke wo ik pal bhi la ke dekhainge