hay kis ki ye jurat k musalmaan ko Tokay
hurriyat-e-afkaar ki ne’mat hay khudadaad
chaahay to karay ka’bay ko aatish-kada-e-paaras
chaahay to karay is main farangi sanam aabad
Qur’an ko bazeecha-e-taweel bana kar
chaahay to khud ik taza shariyat karay ijad
hay mumlikat-e-hind main ik tarfa tamasha
islam hay mabhoos, musalman hay aazad
allama muhammad iqbal