**aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye **
**us ke baad aaye jo azaab aaye **
**baam-e-miinaa se maahataab utare **
**dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye **
**har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho **
**saamane phir wo benaqaab aaye **
**umr ke har waraq pe dil ko nazar **
**terii meher-o-wafaa ke baab aaye **
**kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab **
**aaj tum yaad behisaab aaye **
**na gaii tere Gam kii saradaarii **
**dil me.n yuu.n roz inqalaab aaye **
**jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam **
**jab bhii ham Khaanamaa.N_Kharaab aaye **
**is tarah apanii Khamashii guu.Njii **
**goyaa har simt se jawaab aaye **
**‘Faiz’ thii raah sar basar ma.nzil **
**ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye **
Faiz Ahmed Faiz
Re: aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
Wah Wah kia kahnay farooq sb. aap kay .........
Aab to uss key aankhoon kay maikaday moyasar hain
Phir Sakoon Dhondoo gay sagharoon main jamoon main
Re: aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
Thanks Sannan!
Re: aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
Waaaaaaaaaaah ji waaaaaaaaah
Subhaan Allah
Re: aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
:k:
reet
6
Re: aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
bahot khoob.......farooq.......thnx for sharing with us....!
Re: aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
Thanks Reet, Prince and Harf-e-Junon for appreciating.
Zamil
8
Re: aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
Bohat aa’la Farooq Saahab…
Faiz is my fav 1
**Thanx alott for posting… **:k:
Re: aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
Buhat Allaaa,,,, Farooq Saheb