Aadaab arz dosto!
Ek Ghazal pesh-e-Khidmat hai. mulaahizah farmaaiye aur apnii raaey se navaaziye.
**Ghazal
aaye haiN aaj phir vo achaanak Khayaal meN
roshan haiN sau chiraaGh dil-e-Khastah.haal meN
maiN ne kahaa ki dil kaa mire kyaa kiyaa, huzuur?
kahne lage ki TuuT gayaa dekh bhaal meN!
taazah hai zaKhm-e-ishq so aaNkhoN meN hai namii
shaayad haNsii bhii aaye hameN chand saal meN!
kal tak jo lazzatoN ko ginaate the ishq kii
kahte haiN ab ki jaan phaNsii kis vabaal meN!
juz kuu-e-yaar us kii rasaaii nahiiN kahiiN
jo zahn phaNs gayaa ho muhabbat ke jaal meN
hosh-o-havaas le ke ham aaye the jo yahaaN
gum ho ke rah gaye haiN tumhaare jamaal meN
gar ye kamaal hai to faqat be.Khudii kaa hai
izhaar-e-shauq kab thaa hamaarii majaal meN
jab de diyaa javaab tasavvur ne bhii to phir
:laanaa paRaa tumhiiN ko tumhaarii misaal meN:
vaaqif huaa na apnii haqeeqat se vo kabhii
go shak nahiiN hai aql-e-bashar ke kamaal meN
kyaa tuu hai ek juz hii faqat kaainaat kaa?
pinhaaN hai raaz-e-kul bhii isii ik savaal meN
daanaaii to yahii hai ki ham bhii vuhii chaleN
maanaa haiN laakh aib zamaane kii chaal meN
:Waseem: Gham-e-jahaan meN har shaKhs mahv hai
ab kyaa dharaa hai qissah-e-hijr-o-visaal meN !!!
Waseem Ahmed**