Re: aaye, baiThe, khaaye piye, khiske…
itnii kaafii hai…kaam chalaaoo hai!yeh saHeeH moHaavarah hai:
aamdan, nashistan, Khurdan, barKhaastan
yeh sab masaadir haiN [basic form of verbs]…inhiiN alfaaz se deegar alfaaz banaaye jaate haiN. agar yeh masaadir logoN ko ma’loom hoN to Urdu samajhnaa bahot aasaan ho jaaye.
neez, agar Arabii qaai’de insaan seekh le to Urdu to ‘ghar kii baandii’ ban jaaye. ![]()