kuchh Faarsii ke aise moHaavaraat haiN jo Urdu meN hoo_ba_hoo must’amil haiN magar aksar un moHaavaraat kaa Urdu tarjuma bhii Khaasa maqbool hai, jaise:
**Faarsii: der aayad, durust aayad
Urdu: **der aaye, durust aaye
donoN hii moHaavaraat 'aam fehm haiN.
ab bataaiye k Urdu ke is mash’hoor moHaavare kii asl Faarsii moHaavarah kia hai? is moHaavare kii bhii donoN soorateN [Urdu aur Faarsii] maqbool haiN’
yeh sab masaadir haiN [basic form of verbs]…inhiiN alfaaz se deegar alfaaz banaaye jaate haiN. agar yeh masaadir logoN ko ma’loom hoN to Urdu samajhnaa bahot aasaan ho jaaye.
neez, agar Arabii qaai’de insaan seekh le to Urdu to ‘ghar kii baandii’ ban jaaye.