aaya tha ghar sa.Nvaarane ehasaan kar gayaa

aaya tha ghar sa.Nvaarane ehasaan kar gayaa
barbaadiyo.n kaa aur bhii saamaan kar gayaa

ab tak rahii us kii yaad merii zindagii ke saath
do char pal kii mujh se jo pahachaan kar gayaa

aa.Nkho.n ne jis ke shauq me.n raate.n sajaa_ii thii.n
Khvaabo.n ke anjuman vahii viraan kar gayaa

jho.nkaa nasiim-e-subah kaa aayaa to thaa magar
gul_shan kii har kalii ko pareshaan kar gayaa

hummmmm

Dost bhi dushman na thay, dil bhi adu mera na tha
Yeh to mujh par ab khula zalim keh tu mera na tha

nice:k:

nice1:k:

Thanks every one

goodie :k:

:k: niceeeeeee

Superb :k::k::k: