Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

**
Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana.
Iqraar-e-wafa karna phir us’sy mukar jana.

jab khuwab nahi koi kiya zindagi ka karna,
har subah ko jee uthna har raat ko mar jana.

aisa na ho dariya main tum baar-e-giraN thehro,
jub log ziyada hon kashti sy utar jana.

Suqraat k peeny sy kiya mujh py ayaN hota?,
khud zehar piya meny phir us ka sar jana.

jub bhi nazar aao gy hum tum ko pukareN gy,
chaho to thehar jana chaho to guzar jana
**

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

:hmmm:

koshishain karnay say halat badal jatay hain
khud bigari hui taqdeer ka shikwa na karo


bohot khoob Bhaiya :lajawab:

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

jub bhi nazar aao gy hum tum ko pukareN gy,

chaho to thehar jana chaho to guzar jana

:hinna:

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana.
Iqraar-e-wafa karna phir us’sy mukar jana.

Timepass romeo juliet ?:hehe:

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

Nice

Kuch Ghalat kaha kia…?

Mohabbat krnay walay zor zabardasti nhi krty…

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

**jab khuwab nahi koi kiya zindagi ka karna,
har subah ko jee uthna har raat ko mar jana.

ek aur depression zada poet :hayaa:
**

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

ji ji…

Ye MashGhala hy kisi ka
Na janay kia chahay…:smiley:

:cb:

Aik song bhe tha awargi py

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

**Suqraat k peeny sy kiya mujh py ayaN hota?,
khud zehar piya meny phir us ka sar jana.

:p**

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

Konsa…?:5:

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

:fatee: it cud be k ye depression nai…this poet lives by the day…na past se mutlub…na future se…
Mar jana cud simply mean raat k neend…as sleep too is considered a form of death.
No khwab could mean no materialistic needs…

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

:hehe:

Awargi me had sy guzar jana chahye
Laikn kbhe kbhar to ghar jana chahye

Lol bara he ajeeb song hy waisy

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

:hmmm: ajeeb to hy

Suna hua hy pta ni kahan,kab,kun or kaisy shyd parody ho ge.aap ny suna hy?

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

Ji..............:)

Pahlay Sharik Romi naam ka singer tha shayad.......usko suna tha

lykin baad mein pata chala k Munni Begam Pehlay Gaa chuki hyn.........Phr unko suna:D

Shariq roomi tha ni hy :slight_smile:
Acha yani munni begum ka song hy

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

ji ji..................Lykin Shariq Roomi wala Un sy behtar tha......

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

ek nahin kai songs hain Awargi pe..

Awargi main had se guzar jana chahiye

Main aur meri Awargi

Meri Awargi ne mujhko awara bana dala

Re: Aawargi main humny iss ko bhi hunar jana

Awara hon..........Gardish mein hon ya Aasmaan ka tara hon?