Yam Ba Yam Sehra Ba Sehra Naqsh-e-Jaan Jalta Howa
Aatish-e-Namrood Main Sara Jahan Jalta Howa
Paoon K Nechay Sulagti Rait , Sadiyoon Ka Safer
Aur Sar Per Bar-e-Saqf-e-Aasmaan Jalta Howa
Nooh Ki Ummat Hai Kaghaz Ki Subak Kashti Main Aur
Khuwaishoon Ka Aik Behar-e-Bekaraan Jalta Howa
Aik Janib Yaas Ki Sahar Se Lipta Shaher-e-Kufar
Dosri Janib Umeedoon Ka Jahan Jalta Howa
Saray Manzar Aik Pas-e-Manzar Main Gum Hotay Howay
Sabz Lamhoon Ka Sunhera Karaawan Jalta Howa
Jisam Se Bahir Suheray Mosamoon Ka Sabz Lims
Rooh Ka Ander Koi Aatishfishan Jalta Howa