**Aati nahi.n hai raas shahr-e-tarab kee fiza
Qismat kee siyah loah per harf-e-dard hai likha
Bhool gaya tha qismat kee rasoom o qyood
Nadaani mai.n khushi ka sapna saja lya
Pulkoo.n per saja hujoom-e-jugnoo ka mela
Ek ummeed ka safeena tha woh bhi doob gaya
Har pal mar mar kay thak gaya hoo.n ~Waseem~
Hojaye ab meri rooh ko izn-e-azaadi ata !!! **
hey
nice:):)
bytheway main first time post kar rahee hun...kuch daz pehlay he register kia :)
so ak poem share karon ge its my faviorate poem...
jab sawan main tanha bheego
jab angan khalee pao gay
jab sahil say takrati lehron main
apni tanhai main kho jao gay
jab raat kay tanha daman main
tum chaand ko adha pao gay
jab khud say batain kartay kartay
tum door kahin kho jao gay
jab dil ki baat chupanay ko
ham say nazar tum churao gay
"main tum say mohabat karti hoon
har baar yay sunna chaho gay
in sab lamhon main jaan lena kay
tum tum nahi "HUM" ban jao gay......
Thanx Cutee and H H Jee :)
Welcome To GS 
Nice Choice Momo :k: and Keep Sharing 