~*~ Aatay nahe laut kar ... Beetay huwe zamaanay ~*~

*Kitaab-e-dil pe likhay thay kitne hi afsaanay
Kuch qissay naye thay aur kuch barsoon puraanay

Kuch un ka zikar jo kabhi rag-e-jaan se thay qareeb
Kuch woh jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rutt ko mausam aaye
Khushyoon bhare geet hum lagain gun’gunaanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai
Aik roz to ayenge woh hum ko manaanay

Safha-e-dil ko koi hamare parh kar dekhay
Khoon-e-jigar se likhay hain sab afsaanay

Guzra huwa zamaana bhula do zehan se apnay
Aatay nahe laut ke beetay huwe zamaanay …*

Re: ~~ Aatay nahe laut kar ... Beetay huwe zamaanay ~~

zabardast sharing

Re: ~~ Aatay nahe laut kar … Beetay huwe zamaanay ~~

bohot aala :k:

Re: ~~ Aatay nahe laut kar ... Beetay huwe zamaanay ~~

Nice.