Eik khaatoon Qazee kay paas puhcheen aur durkhuwaast ki kay iskay shohar ko rihaa kiya jaaye. Qazee kay poocha: “Muhtarma. Aapka shohar kiss juram mein sazay-e-qaid bhugat raha hai?”
“Aata churanay kay juram mein” - Jawab mila.
“Iska tumharay saath kiya salook tha”?
“Woh buhat sungdil tha. Is sey zaada zaalim mein nay aaj tuk nahin dekha.”
“Iskay bawajood aap isey riha karana chahtee hain, aakhir kyon?”
“Jee,” Khaatoon nay maasoomiat sey jawab diya. “Ghar mein aata khatam hogaya hai.”