**Agar khilaaf hain hone do jaan thori hai
ye sab dhuaan hai koi aasmaan thori hai
Lagegi aag to aayenge ghar kai zad mein
yahan pe sirf hamara makan thodi hai
Main janta hun ki dushman bhi kam nahi lekin
hamari tarah hatheli par jaan thodi hai
Hamare muhn sejo nikale vahi sadakat hai
hamare muhn mein tumhari zubaan thodi hai
Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahin honge
kirayedaar hain zati makan thodi hai
Sabhi ka khoon hai shamil yahan ki mitti main
kisi ke baap ka hindustaan thodi hai
Rahat Indori
**