*Woh Baat Hee Thee Kuch Aisi Keh Haar Maanay Thay
Wagar Na Apnay Bhi Qadmoo’n Talay Zamanay Thay
**
Yeh Kiya Keh Haath Jafa Say Uttha Liya Tou Nay
Humain Tou Hoslay Apnay Bhi Aazmanay Thay
**
Jo Jal Bujhee Hain Yeh Aankhain Tou KIya hova Keh Humain
Diloo’n Kay Daagh Ba’Andaaz e Nau Jalanay Thay
**Tou Kissi Say Nibhatay Bhala Wafaa Kaysay
Humain Kissi Say Hazaroo’n Faraib Khanay Thay
**
Jahan Faza Main Dhowaa’n Saa Uttha Abhi KHALID
Waheen Tou Apni Taman’na K Aashyanay Thay
^^__Khalid Sharif __^^**