Aashna hotay hue bhi aashna koi nahin.........

**Aashna hotay hue bhi aashna koi nahin,
jantay sab hain mujhai pehchanta koi nahin,

hum nai kudh sai peda keye hain zindagi main maslay,
werna sachi baat yeh hai masla koi nahin,

khudkashi bhi jurm hai aur mai kashi bhi jurm,
kaun kis mushkil main hai yeh diekhta koi nahin,

mukhtaser lafzoon main hai yeh aab mizaj-e-dosti,
rabta bai shak hai sab sai wasta koi nahin.**

Re: Aashna hotay hue bhi aashna koi nahin…

apka apna qasoor hy :barbie:

Re: Aashna hotay hue bhi aashna koi nahin.........

to phr koi rasta bata dyn........??

Re: Aashna hotay hue bhi aashna koi nahin…

dost ALLAH KI NEMAT ES LIAY HOTE HEIN K un se share kia jae :halo:

Re: Aashna hotay hue bhi aashna koi nahin.........

^rightly said.......

Re: Aashna hotay hue bhi aashna koi nahin.........

**hum nai kudh sai peda keye hain zindagi main maslay,
werna sachi baat yeh hai masla koi nahin,

phir to masla hi koi nahin
**