aashna ajnabi kay naam

kab tak aakhir ham say apnay dil ka bhayd choupaoo gee
tumhain rah par ek din aana hay tum rah par aa he jaoo ge

keon chehra utra utra hay keon bujhee bujhee se hain aankhain
suno eshq too ek haqeeqat hay usay kab tak tum jhutlaao gee

sab raang tumharay janta hoon main khoub tumhain pehchanta hoon
kaho kab tak paas na aaoo gee kaho kab tak aankh churaao gee

bhala kab tak ham ek dousray ko chup chup kar daykhain aur tarsain
hamain yar sataain gay kab tak tum sukhyoon say sharmaao gee

chalo aaoo bhe ham tum mil baythain aur naaey safar ka ehad karain
ham kab tak umar ganwaayen gay tum kab tak baat barhaaoo gee


kia baat hai :k::k::k:
thanks for sharing:flower1:

Re: aashna ajnabi kay naam

[QUOTE]
*Originally posted by Man de Mouj: *
kab tak aakhir ham say apnay dil ka bhayd choupaoo gee
tumhain rah par ek din aana hay tum rah par aa he jaoo ge

keon chehra utra utra hay keon bujhee bujhee se hain aankhain
suno eshq too ek haqeeqat hay usay kab tak tum jhutlaao gee

sab raang tumharay janta hoon main khoub tumhain pehchanta hoon
kaho kab tak paas na aaoo gee kaho kab tak aankh churaao gee

bhala kab tak ham ek dousray ko chup chup kar daykhain aur tarsain
hamain yar sataain gay kab tak tum sukhyoon say sharmaao gee

chalo aaoo bhe ham tum mil baythain aur naaey safar ka ehad karain
ham kab tak umar ganwaayen gay tum kab tak baat barhaaoo gee


[/QUOTE]
Wah... 'am Speech-less... Simply Superb!
Thanks for sharing...