chale aao jahaN tak raaste haiN!!! ![]()
Restored attachments:
Re: 'aashiq ka pataa [address]
Aashiqon ke dil main lagta hai property ka daam gire huwe hain.. her aira ghaira wahan rehna aa jata hai ![]()
Re: 'aashiq ka pataa [address]
'aashiq bhii bechaare kia kareN…mahngaaii kaa zamaana hai…6X6 foot jo afford nahiiN kar paate vo 6X6 inch meN hii guzaara kar letaa hai. ![]()
Re: 'aashiq ka pataa [address]
me samjhi DIL K DOREY PERTY HEIN
Re: 'aashiq ka pataa [address]
dil musalsal doron per hai.. yani damagh ke khalal ka aariza hai
Re: 'aashiq ka pataa [address]
meraa ek she’r thaa:
**
dil liyaa, dard diyaa, phir diyaa dard-e-dil
terii sauGhaat ko seene se lagaayaa ham ne**
abmaut hii ishq-cycle ko mukammal karegii? tabhii to kahte haiN k:
kisii bashar ko mukammal jahaaN nahiiN miltaa!
yes, ishq Khalal hai damaaGh kaa aur dil kaa aarizah! ![]()