AAS
Khiley khiley Gulaab mausam mein
Janey kuon
Udass tha dil mera
Janey kissi ne
Doooor kahin par
Mera naam liya tha
Mujhay yaad kiya tha
Par kaun mujh se
Kahan bichra
Kuon rootha
Yaad nahin
Mein bey hunar
La parwa , Be fikar
Sootey huwoun ko jaganey ka
Khoey howoun ko paaney ka
Roothey dost ko mananey ka
Funn mujh ko magar
Yaad nahin , ik aas tu hay
Shayid wohi manana seekh gaya ho
Par kya khabar , woh rahey bekhabar
Aur
Aur gulaab mausam Beet jayein !!!