aarzuuen hazaar rakhte hain
to bhii ham dil ko maar rakhte hain
barq kam hauslaa hai ham bhii to
dil ek beqaraar rakhte hain
Gair hai muraad-e-inaayat haae
ham bhii to tum se pyaar rakhte hain
na nigaah na payaam na vaadaa
naam ko ham bhii yaar rakhte hain
ham se Khush zam-zamaa kahaaN yuuN to
lab-o-lahajaa hazaar rakhate hain
chhoTe dil ke hain butaa.N mashhuur
bas yahii aitabaar rakhate hain
phir bhii karte hain “Meer” saahib ishq
hain javaaN iKhtiyaar rakhte hain