~~~*** aarzoo ***~~~


mujhy mojazoon pay yaqeen naheen
magar aarzo hay kay jab qaza
mujhy bazm-e-dehar say lay chalay
to phir ek bar ye azn day
kay lahad say lot kay aa sakoon
tiray dar pay aa kar sada karoon
tujhy gumgusar ke ho talab
to teray huzoor main aa rahoon
ye na ho to
so’ay rah-e-adam main
phir ek bar ravana hoon


Truly beautiful....