Aarzoo thee us ko bhi mein muskuraata dekhta
Zindgi ki raah main kuch door jata dekhta
Mujh se kehta gar kabhi wo dekh milna ab nahin
Ashk peeta zakhm sehta dil jalata dekhta
Woh jo aata laut aateen maekad'e ki raunqain
Muskuraata ghum bhulaata gungunaata dekhta
Dekhti duniya sanbhalta aisay ye beemaar'e ghum
aik nazar ki baat thee jadoo jagaata dekhta
us ko jaldi thee bichharnay ki Lamhay wo gayaa
Gar wo sunta baat meri yoon manaata dekhta!
awww,wah wah,bohat khoob,lolzzzz,aik baat kahoon,aap,munir aur arif ki replys parh parh kay lagta hay kay yeh aap nay arif bhai kay liyay likhi hay:hehe: sorry:blush: