Aarzoo hai wafa kare koi
ji na chahe to kiya kare koi
gar maraz ho dua kare koi
marne wale ka kia kare koi
koste hain jale hue kia kia
apne haq main dua kare koi
un se sab apni baat kehte hain
meraa matlab adaa kare koi
tum sarapa ho surat-e-tasveer
tum se phir baat kia kare koi
jis main lakhon baras ki hoorein hon
aisii jannat ka kia kare koi