Aarzu Hai Doorse Dekhne Ki
Kareeb Aana Bhi Nahi Chahte
Tamanna Nahi Hai Tumhein Paane Ki
Magar Khona Bhi Nahi Chahte
tum jo har lamha humay yaad rahtay ho!
dharkan ban kay dil main sath rahtay ho!
basa lain ik nai duniya, ik naya ashian
khyalon main sochon main harbar rahtay ho!
ban gay ho tum maqsad-e-hayat humara!
haton ki in lakiron main jo sada rahtay ho!
na rakha karo in panchiuon ko qaid main!
tum jo fiza main azad rahtay ho!
na gawar guzri humay tumhari yeh baat jana!
har baar jo kuch kahnay pay thanks kahtay ho!
Lamhe ye suhane saath ho na ho,
Kal me aaj jaisi koi baat ho na ho,
Yadoon ke haseen lamhe dil me rahenge,
Chahe sari umar hamari mulaqat ho na ho.