muGhl-e-'aazam Akbar the great aur tamaam shahehshaahaan-e-Hind apne liye HAM kaa lafz iste'maal karte the...
...maiN compare nahiiN kar rahaa magar Allah bhii Qur'aan meN apnii 'azmat aur kibriyaaii ke liye maiN ke bajaaye HAM kaa iste'maal kiyaa hai.
shahenshaahi aur nawaabii tahaazeeb meN HAM kaa iste'maal zabaan kii roo se jaaiz qaraar diyaa gayaa hai jise haiN "Ghalat-ul-'awaam" kah sakte haiN...[vo tareeq jo Ghalat ho magar use saHeeH maan liyaa jaaye]...zabaan kaa yeh apnaa ek usool hai.
Ye asool hamary PTV dramas me bhe follow kia jata raha hy
you mean its wrong...but considered correct...
So shouldn't we try to motivate people to use the correct form ?
sentence to grammatically to Ghalat nahiiN hai kiuN k ham jumle ke aaKhir meN plural kaa seGha iste'maal karte haiN:
ham khaauuNgaa = Ghalat
ham khaayeNge = saHeeH
haN gender use Ghalat hone ke baa-vajood saHeeH hai kiuN k yeh ek nawaabii aur shaahaana andaaz e guftugu hai...
Hum ny kaha tha is correct too like my urdu teacher used to say
jab hum ny aap ko assignement ki last date bta di the to wo mukamal kun ni kiye gaye? jawab dain?........:p
lol...to, kia jawaab diyaa?
vaise, zabaan e Urdu aur hamaarii tehzeeb meN, lafz-e-"HAM" meN inkisaarii aur kasr-e-nafsii muzmir hai jab k lafz-e-"maiN" meN ra'oonat aur 'inaa parastii chhupii huii hai..."maiN ne aisaa kiyaa" ke bajaaye "HAM ne aisaa kiyaa" kahne meN "maiN" kii karaKhtagii nahiiN hai aur credit sirf apne liye nahiiN bal k ijtimaa'ii taur par sabhii ko shaamil kar liyaa gayaa hai. i think!