**Aap ko apnay age fellows kay sath App kah kar baat karna acha lagta hay kah tum ? **
Mein apnay Age fellows colleagues kay sath tum ya buhat ziyada frank colleagues kay sath Tu kah kar baat karta hoon tou mujhay ziyada acha lagta hay like
Aap hotel mairay sath chalain gaiy wahan mein aap ko khana khilao ga !! key bajay
Chal yaar tujhay aiyashi kar wa kar laoon mein ziyada apnaiat jhalakti hay :cobra:
Lo G aap yah sana sunain zara
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saaman Ho Gaee, Mehdi Hasan
Pahlay jan phir jan-e-jan phir Jan-ejanaan ho gaiy
Pyaar jub had say barha saray takluf mit gaiy
Aap say , phir tum hoye , phir Tou :jano: Ka unwaan Ho gaiy
**hamaarii tahzeeb meN to apne se baRoN ko aap aur apne se chhoToN ko tum kahte haiN aur dostoN ko to hamesha hii tum kahte haiN...boss aur Hukkaaam ko aap...
...aajkal yeh nayaa afshion niklaa hai k 60 baras kaa buDDhaa do saal ke bachche ko aap kahta hai. lol**
Hum guftagoo main pehle boltay hee naheen, lekin agar pehla var… i mean pehlee baat kehnee ho tho hum baro ko aap or hum umar ya choton ko tum kehteh hain.
Waissay tho main bathay naheen kartha lekin jub shuroo hojoaw tho Khyber-Peshawar express kee thara rooktha hee naheen.
Faris Bhai mein nay aik qisa abhi abhi sunaya hay aap bhi sunain
It remember me some of my colleagues …
unn mein say iak ka qisa
maira aik colleague hay mein uss kay sath frank ho kar guftagu kia karta tha leekan aik din woh intihai baychargi walli shakal bana kar mairay pass aaya aur bolla Sannan aap mujh say tum kah kar baat nah kia karain keonkah mairay Ammu Abu bhi mujh say aap kah kar baat kartay hain
you can’t believe how madly i laughed and announce in my department that after today every one say him aap woh din aur aaj ka din woh banda mujh say baat he naheen karta hay
@Blessed
Kar dia saheeh warnah to Dunya ka naqsha change ho jata