aap ko dekh kar dekhta reh gaya

**aap ko dekh kar dekhta reh gaya
kya kahoon or kehne ko kya reh gaya

unki aankhon se kaise chhalakne laga
mere hoton pe yoon majra rah gaya

aise bichhde sabhi raat ke mod par
aakhri hum safar rasta rah gaya

soch kar aao hue tamanna yahi
janeman jo yahan rah gaya, rah gaya**

Re: aap ko dekh kar dekhta reh gaya

aaj kia Jagjeet Singh boht yaad aa raha hai? :faizy:

Re: aap ko dekh kar dekhta reh gaya

bas unka hi mood hai iss waqt

Re: aap ko dekh kar dekhta reh gaya

Here are few lyrics he used in his live concert with first shair of above ghazal.

**aate aate mera naam sa reh gaya
uske hothon pe kuch kapta reh gaya

woh mere samne hi gaya aur main
raaste ki tarah dekhta reh gaya**

Re: aap ko dekh kar dekhta reh gaya

STA thats a separate ghazal in same behar

Re: aap ko dekh kar dekhta reh gaya

main bhi wohi kah raha hon