Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
*Lagay na kion khud say mujh ko piyara , kabhi samandar kabhi sitara
Meri musafat ka isst’ara , , kabhi samandar kabhi sitara
Teri meri qurbatoon ka mausm bikhar k simtay , simat k bikharay
Isi lye aaaankh mein utara , , kabhi samandar kabhi sitara
Nia nia ishq karnay walo , hameein say is ka ziaaN bhi pocho
Basat-e-hasti pay hum nein hara , , kabhi samandar kabhi sitara
Teray liye jagnay ko mehkein ,kabhi gulistan, kabhi charaghaan
Meray liye khuwaab ka ishara, , kabhi samandar kabhi sitara
Wo kehkashaan zaad-o-seel-e-nik’hat hamray raar chal para tha !
Kahan tha warna hamein gawara , , kabhi samandar kabhi sitara
Meray bhataknay pay jaan-e-MOHSIN yeh tanz kesa k iss jahan mein
Hoey hein bay simt-o-bay kinara, , kabhi samandar kabhi sitara …*