Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
Raz - e - dil na sunana kisi ko sagar,
Sabhi hum raz badal jatey hain.....
Kisi ke bicharhnay se koi mar to nhi jata,
Han magar jeeney ke andaz badal jatey hain………
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
Raz - e - dil na sunana kisi ko sagar,
Sabhi hum raz badal jatey hain.....
Kisi ke bicharhnay se koi mar to nhi jata,
Han magar jeeney ke andaz badal jatey hain………
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?
ke ghar ka ghar he jal jaye*
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?*
ek anjaane safar main*
ek ajnabi ke hamrah door tak jao*
or itni door tak jao*
ke woh rasta badal jaye*
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?*
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
Raz - e - dil na sunana kisi ko sagar, ***Sabhi hum raz badal jatey hain.....
Kisi ke bicharhnay se koi mar to nhi jata, Han magar jeeney ke andaz badal jatey hain………
soo very true!
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
Main Usee Zindaa Qabeelay Ka Numainda Hoon
Jo Ujaaloo'n K Liay Khud Ko Jala Dayta Hay !!
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
Nice PK :k:
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?
ke ghar ka ghar he jal jaye*
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?*
ek anjaane safar main*
ek ajnabi ke hamrah door tak jao*
or itni door tak jao*
ke woh rasta badal jaye*
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?*
nice....magar kuch loog nahi samjhtay...woo bus yehi kehtay rehtay hain k i dont know.....pata nahi kion
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
Thanx UZ ![]()
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
v nice:lajawab:
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
zara si baat…koi samjh lay tu ![]()
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
Khud ko chup karak main aj boht roya
purani yadoon ko gunguna k main aj boht roya
tanhai k gumse nidhal ho ker
teri tasveer galy laga k aj boht roya
apnon ne jo kia wo sb bhula dia
ghayron ko aazma k main aj khoob roya
main kahan is qabil k wo mulaqaat karen
khwahishon ko dabo dabo ke main khoob roya
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
Ab Nend Se Kaho Hum Se Sulah Kar Le Faraz,
Wo Dour Chala Gaya Hai Jis K Lie Hum Jaga Karty Thay....
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
**Main Logo’n Se Mulaqato’n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon
Main Baatai’n Bhuul Bhi jao’n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon...
Sar-e-Mehfil Nigahai’n Mujh Pe
Jin Logo’n Ki Parti Hyn
Nigaho’n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon...
Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa’yat Se
K Jin Pe Bojh Main Daalo’n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon...**
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
**Ungliyan aaj bhi is soch me ghum hai faraz
Usnay kaisay naye haath ko thaama hoga..
**
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
**Ghum-o-dukh k ye isharay tm na samjo gay
Jo din hmne tmharay bin guzaray tm na samjo gay
Tmhen kesay batayen tm hmaray wastay kya ho
Samandr ki kahani mein kinaray tm na samjo gay
Bus itna jan lo ek shakhs say hmne mohobbat ki
Hmaray tootnay ka khel pyaray tm na samjo gay
Hazaron mushkilon say khel kr b jeetnay walay
Ye aakhir kis jaga pr aa k haaray tm na samjo gay**
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
http://www.hallagulla.com/urdu/photo/data/1532/Kuch_Nahi.JPG
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
one of the BEST poems by Qateel Shifayi..
http://www.hallagulla.com/urdu/photo/data/1419/hum_basti_choray_jatay_hain.jpg
Re: ~~ Aap ki Pasand ~~
nyc…