I donot have a favourite poet. Jis poet ki poetry achi hoti hai whether famous or not, I appreciate it.
Kaifi Aazmi died cuouple of months back. I was reading an article on him and there was this one shair that stuck me,
Dard hi dard magar wajhay sukun wajhh e trab
Sooz hi sooz magar jaan say pyara ban kar
Aatay hi cha gaya khoi hui hasti pay meri
Meri Khoi hui hasti ka sahara bun kar.
Ghalib, Faiz, Faraz, Ubaidullah Aleem, Iftikhar Arif are good. Infact I was reading Tariq Aziz's punjabi poetry today, entitled, "Hamzad da dukh." It isn't great but nodoubt its indeed a treat to read it.
Meray Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN
Ye mera chehra, ye meree ankaiN
Bujhe hu-ay say charagh jaysay
Jo pher say jalnay kay muntazir hauN
Vo chand chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN
JinhouN nay paymaN key-ye thay mujh say
rafaqatoN kay, mohabatoN kay
Kaha tha mujh say ke ay musafir rahe vafaa kay
JahaN bhee ja'ay ga hum bhee AiaN gay saath tere
BanaiN gay raatoN maiN chandni hum toe din maiN saa'ye bakhair daiN ge
Vo chand chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN
Vo apnay paymaN rafaqatoN kay mohabatoN kay
Shikast kar kay
Na jaanay ab kiss key rehguzar ka minara roshni hu'ay haiN
Magar Musafir koe kya khabar hay
Vo chand chehra toe bujh gaya hay
Sitara AnkhaiN toe so ga'eey haiN
Vo zulfaiN bay sayaah ho ga'eey haiN
Vo roshni or voh saa'ye meree ata thay
So meree raahoN maiN Aaj bhee haiN
ke maiN musafir ra-hey vafaa ka
Vo chand chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN
HazaaroN chehroN hazaaroN ankhaiN
HazaaroN zulfoN ka aik selaab-e-tund lay kar
mere ta'aqub maiN Aa-ra-hey haiN
Her aik chehra hay chand chehra
HaiN saary ankhaiN sitara ankhaiN
Tamaam haiN
Meharbaan saayah daar zulfaiN
MaiN kiss ko chahooN, maiN kiss ko choomoN
MaiN kiss kay saa'ye maiN bait jaaoN
bachooN ke toofaN maiN doob jaaoN
Ke mera chehra, na meree ankhaiN
Mera Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN
[quote]
Originally posted by ToO hOt 2 StoP:
**Post ur fav poetry or your poetry, N read other ppls fav poetry.
This is One Of ma Fav.
"Raat dil maiN teree kh-oee hu-ee yaad Ayee
Jesay weeranaiN maiN chupkay say bahar Ajay
Jesay SehraaoN maiN chalay holay say baad-e-naseem
Jesay Beemaar koe bewajah qarar Ajay "
Allah Allah t'reee aankhoon kaa chhalaktaa hua Kaaif
Jaisay masti main Ulat day koi paimaanay Chand
Chutkiyaan lainaay lagaaa dill main nishat e Tiflee
Aaj Yaad aa Gaa'ey Bhooolay huay afsaanay chand
har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
guftgoo = conversation ]
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
barq = lightning, tund = sharp/angry, KHoo = behavior ]
yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
rashk = jealousy, ham_suKHan = to speak together/to agree, KHauf = fear, bad = bad/wicked, aamozee = education/teaching, adoo = enemy ]
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
pairaahan = shirt/robe/cloth, haajat = need/necessity,rafoo = mending/darning ]
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
justjoo = desire ]
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
bahisht (or bihisht, both are correct) = heaven, baada = wine, gul_faam = delicate and fragrant like flowers, mushkaboo = like the smell of musk ]
piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
KHum = wine barrel, qadah = goblet, kooza/suboo = wine pitcher ]
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
guftaar = speech/discourse ]
bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN 'GHalib' kee aabroo kya hai ?
musaahib = comrade/associate ]
ye fav to nahi hain phajja laiken yehi iss waqt yaad aa raha hai:
dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye kyun
royen ge hum hazaar baar koi humme sataey kyun
aik aur:
tum mere paas hote ho goya
jab koi doosra nahi hota
Yeh hakeem momin khan momin ka woo shaair hay nayab - kay jiss koo sunn nay kay baad Ghalib nay kahaa thaa kay mairaa pooraa dewaan lay loo aur yeh shaair mujhay day doo
Ghalib kay kalam main falsafa hay aur lafzoon ki saadgi bhi - kehtay hain kay ~
Hay kahan tammaana kaa aakhri qadam Yarab
Ham nay dasht e Imkaaan koo aik naqsh e paa payaa
iss shairr par kafi lay day hui thee uss zamanay main kay yeh “PA PAYA” wali lafzi riyaa’et kuch mubtazil si lagti hay - Magar waqt guzarnay kay saath iss shairr ka shumar Ghalib kay chand behtreen Ash’aar main hoota hay
hmmm kaafi saaray my fav hain ok
some fav poetry say kuch Ashaa'r mulahizaa kijiye phir
yooN bichaRnaa bhi bahut AasaaN na thaa us say magar
jaatay jaatay us-kaa woh muR kar dobaarah daekhnaa
nikalna khald say aadam ka suntay aye hain lekin
boht be-aabru ho kar teray koochay say hum niklay
Na rahaa junoon-e-rukh-e vafaa,yeh rasan yeh daar karo ge kiyaa
jinhhaiN jurm e ishq pe naaz thaa , voh gunaah gaar chale gae.
Ye jo raat din ka hay kheyl sa usay dekh us pae yaqeen na kar
koi aks bhi nahee mustakil sar-e-aaina usay bhool jaa.
Aah ko chahye aik umr asar honay tak
Kaun jita hay teri zulf kay sar honay tak
Na tou zameen kay li'ay hay na aasmaan kay li'ay
Tera wajood hay ab sirf daastan kay li'ay.
Nae dor kay naiy khawab hain , naiy mosmon kay gulab hain
Yeh mohabatoon kay charagh hain, inhain nafraton ki hawa na day
my signature peh bhi ghor kijiye:-P
~DuniyaaN ki Mehfilon se ukta geya huun Ya-Rab
kya Lutf anjuman ka jab DiL hi bujh geya ho~ ~
~kya Nazar dain jo koi Naie ArZoO karain
DiL mey tou Tootne kie bhie Himmat nahin rahi~