2013 Aap Beeti Kahon Ya Jag Beeti 01 Dec - YouTube
Aab khorey barf key insha kou bhejey aap ney
iss kaa matlab yeh key ab naqsha hamara jam gayaa
(InshaAllah khan Insha)
yoon chahtey hein aaj bahr-kaif mai-kashaaN
yaani key qufl-e-khaana-e-khammaar toRiye
saaye mein jis darakht key aaraam paaiye
kia zulm hai key uss key hi asmaar toRiye
(InshaAllah khan Insha)
khayaal kijiye kiya aaj kaam mein ney kiyaa
jab uss ney di mujhe gaali salaam mein ney kiya
(InshaAllah khan Insha)
Re: Aap beeti kahun yaa jag beeti - Insha & Mushafi
two poets in this week? Are these poets from the era before Ghalib?
Re: Aap beeti kahun yaa jag beeti - Insha & Mushafi
two poets in this week? Are these poets from the era before Ghalib?
yes two poets in this week's episode
InshaAllah khan insha - (1756-1817)
Ghulam hamdani mushafi - (1751-1824)
Ghalib - (1797-1869)
Re: Aap beeti kahun yaa jag beeti - Insha & Mushafi
teri aashnaai sey kiya hum ney paaya
diya naqd-e-dil aurr apni girah kaa
(InshaAllah khan Insha)
insha tu chal key waadi-e-majnuN ki sair kar
aik aan tou musaahibat-e-hukmraan choR
(InshaAllah khan Insha)
hoslaa hai faraakh rindoun kaa
kharch ki yahan bohat hi tangi hai
(InshaAllah khan Insha)
Nain
December 3, 2013, 9:43am
5
Re: Aap beeti kahun yaa jag beeti - Insha & Mushafi
:k:
Re: Aap beeti kahun yaa jag beeti - Insha & Mushafi
Mushafi ke Asha'ar :
Qafas mein bhi bahaar-e-baagh sey haasil huzoori hai
chaman ki sair kar lete hein hum dil key sanobar sey
kyun khafaa hum sey hou key hotaa hai
aadmi kou hi aadmi sey ishq
marz-e-ishq sey gar ab key sambhal jaun gaa
mein tou do-chaar baras kou kahin tal jaun gaa
jou sair karni hai kar ley key ab khizaN aayi
naa gul rahey gaa chaman mein naa khaar thehrey gaa
yehi hai loot tou dast-e-junooN key haathon sey
naa aik merey girebaaN mein taar thehrey gaa
rehaai naam hai kis cheez kaa aur kis kou kehtey hein
yeh baat ae dosaaN! hum sey giraftaaron sey mat poochou
sab naazim-e-mulk sou rahey hein
duniya kaa nizaam hou chukaa
TlGER
December 3, 2013, 4:55pm
7
Re: Aap beeti kahun yaa jag beeti - Insha & Mushafi
Mushafi ke Asha'ar :
Qafas mein bhi bahaar-e-baagh sey haasil huzoori hai
chaman ki sair kar lete hein hum dil key sanobar sey
kyun khafaa hum sey hou key hotaa hai
*aadmi kou hi aadmi sey ishq
*

.