**Taray qarar say hum dil beqarar ker laiN
Thahro kay aaj hum bhi yah iqraar ker laiN
Aao kah aaj tum ko ji bher kay piyaar ker laiN
Shabnam chamak rahi hai phooloN ki patiiyoN per
ThoRhy say lai ker hum bhi galay ka haar ker laiN
Aao kah aaj tum ko ji bher kay piyaar ker lain
Maanind-e-meeNh mohabat unki baras rahi hai
Hum us maiN beeghnay ko khud ko tayyaar ker laiN
Aao kah aaj tum ko ji bher kay piyaar ker lain
Ghunchay khilay huay haiN,phool muskara rahai haiN
Hum bhi aaj apnay dil ko bagh-o-bahaar ker laiN…..
Aao kah aaj tum ko ji bher kay piyaar ker lain
Unky mohabatoN ka her lamha qeemti hai…..
HaathoN main Qaid apnay waqt ki raftaar ker laiN
Aao kah aaj tum ko ji bher kay piyaar ker lain**